kisi ne chehre pe bikhra liya tha zulfon ko zara si baat thi bas le ude hain diwane ye phul khilte hain gulzar mein ki parde se badha ke hath koi de raha hai paimane hui hai bais-e-tughyan-e-ishq garmi-e-husn jale na shama to kyun ghir ke aaen parwane jahan jin se tha ek bazm na-o-nosh tamam kahan wo baada-gusar ab kahan wo maikhane jo aql wale hain chalte hain apni apni rah sab ek rawish pe chale ja rahe hain diwane nahin hai farq koi nur aur zulmat mein hawas gum hain wo palta liya hai duniya ne chamak uthen to mah-o-mahr ko bhi kar den mand wo zarre god mein apni liye hain virane kisi ke tir lage sine mein khuda na kare hamare dil mein hai kya dard koi kya jaane hamare waste saqi piyala-o-khum ek chhalak chalen jo wo hote hain aur paimane khuda samajhne se aakhir bacha liya mujh ko hazar shukr mere aib tum ne pahchane hai dil mein aag to aankhon mein lala-zar 'jigar' nigah-e-naz ke andaz koi kya jaane