is tarah gum hun KHayalon mein kuchh ehsas nahin

is tarah gum hun khayalon mein kuchh ehsas nahin
kaun hai pas mere kaun mere pas nahin

dard jab had mein rahe dard ka bhi lutf mile
ye bhi kya gham hai ki jis gham ka kuchh ehsas nahin

is tarah shauq-e-mohabbat mein na gum ho koi
mujh ko ulfat bhi kisi se hai ye ehsas nahin

ye hain ulfat ke karishme ki ilahi tauba
yun mere pas hain wo jaise mere pas nahin

kanton ko raundta main badhta chala jata hun
shauq-e-didar mein manzil ka bhi ehsas nahin

subh ka tara bhi madum hua jata hai
'shauq' ab us ke karam ki hamein kuchh aas nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close