jab bhi un ke hamein andaz-e-nazar yaad aae

jab bhi un ke hamein andaz-e-nazar yaad aae
dil pe ek chot lagi dard-e-jigar yaad aae

shab ko yaad aae kabhi waqt-e-sahar yaad aae
hum bhulate hi rahe aap magar yaad aae

aah phir hone lagi ek khalish si dil mein
un ke mubham se ishaaraat-e-nazar yaad aae

hae kya chiz mohabbat mein hai majburi bhi
lakh chaha wo na yaad aaen magar yaad aae

yun to ye zist tumhaari hai khushi se le lo
ashk ro ke na rukenge hum agar yaad aae

ashk chhalke kabhi honton pe mere aai hansi
jab wo yaad aae ba-andaz-e-digar yaad aae

hae bas aane hi wali thi hansi honton par
mujh ko guzre hue ayyam magar yaad aae

jab bhi ai 'shauq' zara dil ko sukun milne laga
hum ko us shauq ke andaz-e-nazar yaad aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close