is tarah hajat-e-asir na khinch bhik de kasa-e-faqir na khinch rahm kar kuchh to dast-e-majburi jaan le le magar zamir na khinch ye kahani badi munafiq hai is mein yunhi mera sharir na khinch daere shauq se bana lekin ab koi khun ki lakir na khinch lafz wapas bhi laut sakte hain apne lahje mein koi tir na khinch apna uslub ban sake to bana sher mein 'ghaalib' aur 'mir' na khinch aane wale suragh chahte hain ai hawa naqsh-e-rahgir na khinch ye sharafat bhi ek rassi hai tut jaegi mere wir na khinch