asar zulf ka barmala ho gaya balaon se mil kar bala ho gaya junun le ke hamrah aai bahaar nae sir se phir walwala ho gaya diya ghair ne bhi dil aakhir use mujhe dekh kar man-chala ho gaya samai dil-e-tang ki dekhiye ki aalam mein sabit khala ho gaya talli zamin se jo nalon ne ki falak par ayan zalzala ho gaya hua qatl be-jurm main ja ke 'barq' wo kucha mujhe karbala ho gaya