is tarah khud ko dhundhti hun main jaise rasta bhatak gai hun main sari duniya ka dukh hai mera dukh ek taswir-e-gham bani hun main ek bujhte charagh ki manind lamha lamha sulag rahi hun main dekh kar mujh ko ro pade sab log khud pe kuchh is tarah hansi hun main apna imkan talash kaise karun ek nadiya ruki ruki hun main