KHud se juda hue to kahin ke nahin rahe

khud se juda hue to kahin ke nahin rahe
yun dar-ba-dar hue ki zamin ke nahin rahe

rishte rafaqaton ke raqabat mein dhal gae
diwar-o-dar bhi apne makin ke nahin rahe

hijrat-zada libas mein phirte hain dar-ba-dar
rahna tha jis nagar mein wahin ke nahin rahe

ye kuza-gar ye chaak ye mitti ye aag sab
zoam-e-hunar mein dekh kahin ke nahin rahe

khwabon ke zakhm aankh se risne lage 'ghazal'
ye dard-e-jaan bhi qalb-e-hazin ke nahin rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close