is tarah murjha gae kuchh phul-chehre raat ko dhup aangan mein utar aai ho jaise raat ko umr bhar suraj bhi jin ki did se qasir rahe un haya-daron ke uthte hain janaze raat ko zist ka sarmaya hai yaaden unhi lamhat ki maon se jab loriyan sunte the bachche raat ko ban gae hain rahzanon ke waste ja-e-aman aur musafir ke liye hain maut raste raat ko is tarah ab to guzarti hai meri umr-e-rawan khanste hain jis tarah parwaz budhe raat ko