jage zamir zehn khule tazgi mile chhute gahan ki mujh ko meri raushni mile kyun zabt-o-ehtiyat mein guzre tamam umr is muntashir dimagh ko bas barhami mile har ajnabi se shahr mein dhundo khulus-e-dil har aashna-e-shahr se begangi mile johla-e-bad-zaban banen rahbaran-e-qaum ulama-e-khush-kalam ko bas gum-rahi mile ai jazba-e-supurdagi khud ko zara sambhaal aisa na ho tujhe bhi wahi be-rukhi mile