is tarah pahunchega kaise paya-e-takmil ko aakhiri kahta hai kyun tabut ki har kil ko khud zarurat-mand hai rota hai khud tarsil ko chahiye paighambar apne liye jibril ko kab se sota hai karo bedar mikhail ko warna kafi kaam mil jaega izrail ko tu ne go koi kasar chhodi nahin rabb-e-karim kaam ye karna padega phir bhi israfil ko shahr ke qanun din mein todna aasan na tha raat mein nikli hai duniya ilm ki tahsil ko