raat ka har ek manzar ranjishon se bojhal tha chand bhi adhura tha main bhi na-mukammal tha aankh ki munderon par aarzu nahin larzi ek charagh ki lau se ek charagh ojhal tha ja mila tere dar ke gum-shuda zamanon mein meri umr ka hasil pyar ka jo ek pal tha kyun sulagti aawazen bhig bhig jati thin dasht-e-na-rasai mein dhup thi na baadal tha dur to na tha itna khema us ke khwabon ka raste mein apni hi khwahishon ka jangal tha