is tarah ruKH pherte ho sunte hi bose ki baat

is tarah rukh pherte ho sunte hi bose ki baat
shah-e-mashuqan ke aage kya hai ye eti bisat

kyun na daude tab diwana ho ke majnun dasht kun
jab likhi ho aashiqan ki shakh-e-ahu pe baraat

jhiljhilati hai mahin jame sin tere tan ki jot
mah ka khirman hai ai khurshid-ru tera yogat

sau girah thi dil mein mere khosha-e-angur jun
ek pyale sin kiya saqi nen hall-e-mushkilat

kuchh kaho 'yakru' piya dar sin tere talta nahin
bujhta hai ek ye ghar jaanta nahin panch sat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close