is tarah wo dhyan mera khinchta hai jis tarah paise ko paisa khinchta hai main irada to nahin karta safar ka kya karen kashti ko dariya khinchta hai jis qadar khush lag rahe hain hain nahin hum ye to tu taswir badhiya khinchta hai pahle to bahon mein bharta hai wo mujh ko aur phir dhime se parda khinchta hai jo moazzin ban gaya tha tere dil ka aaj wo mandir mein qashqa khinchta hai rokti hai be-safar logon ko dahliz rahgiron ko tamasha khinchta hai sarhaden banti bigad jati hain 'harshit' jab koi kaghaz pe naqsha khinchta hai