kuchh to pindar-e-mohabbat ki wo izzat rakkhe itna mushkil hai ta'alluq to kaho mat rakkhe ghalatiyan dekh ke chup kyon rahun us ke aage tokta hai to wo sunne ki bhi himmat rakkhe main to manzil ki faqat rah dikha sakta hun har qadam apne wo apni hi badaulat rakkhe kaun sunta hai kisi aur ka gham duniya mein hum ko dekho ki hain sine mein qayamat rakkhe main isi khalq ki khidmat se khuda pa lunga aur baithe raho tum apni ibaadat rakkhe ye mohabbat hi mujhe qaid na lagne lag jae ishq ke khel mein itni to suhulat rakkhe khud ko jab khidmat-e-insan ke liye waqf kiya meri jis shakhs ko jitni ho zarurat rakkhe main bhi kuchh narmi se pesh aaunga lekin wo bhi apni palkon pe zara ashk-e-nadamat rakkhe us ki khwahish ke mutabiq hi kiye sare kaam ab to 'harshit' wo mere hath pe ujrat rakkhe