is wahm ki intiha nahin hai sab kuchh hai magar khuda nahin hai kya is ka suragh koi pae jis chiz ki ibtida nahin hai khulta hi nahin fareb-e-hasti kuchh bhi nahin aur kya nahin hai is tarah sitam wo kar rahe hain jaise mera khuda nahin hai tum khush ho to hai mujhe nadamat har-chand meri khata nahin hai dekho to nigah-e-wapsin ko is ek nazar mein kya nahin hai duniya ka bharam na khol ai aah ye raaz abhi khula nahin hai har zarra hai shahid-e-tajalli is husn ki intiha nahin hai sargarm-e-talash rahne wale tera bhi kahin pata nahin hai umda hai jo dil 'aziz' ro lo aansu koi rokta nahin hai