is wusat-e-kalam se ji tang aa gaya naseh tu meri jaan na le dil gaya gaya zid se wo phir raqib ke ghar mein chala gaya ai rashk meri jaan gai tera kya gaya ye zof hai to dam se bhi kab tak chala gaya khud-raftagi ke sadme se mujh ko ghash aa gaya kya puchhta hai talkhi-e-ulfat mein pand ko aisi to lazzaten hain ki tu jaan kha gaya kuchh aankh band hote hi aankhen si khul gain ji ek bala-e-jaan tha achchha hua gaya aankhen jo dhundti thin nigah-ha-e-iltifat gum hona dil ka wo meri nazron se pa gaya bu-e-saman se shad the aghyar-e-be-tamiz us gul ko e'tibar-e-nasim-o-saba gaya aah-e-sahar hamari falak se phiri na ho kaisi hawa chali ye ki ji sansana gaya aati nahin bala-e-shab-e-gham nigah mein kis mehr-wash ka jalwa nazar mein sama gaya ai jazb-e-dil na tham ki na thahra wo shola-ru aaya to garm garm wa-lekin jala gaya mujh khanuman-kharab ka likkha ki jaan kar wo nama ghair ka mere ghar mein gira gaya mehndi malega panw se dushman to aan kar kyun mere tafta sine ko thokar laga gaya bosa sanam ki aankh ka lete hi jaan di 'momin' ko yaad kya hajrul-aswad aa gaya