ishq-e-butan ka jab se mujhe dhang aa gaya hathon se mere dast-e-junun tang aa gaya kis shauq se ye bazm mein kahta hai dil mera mutrib ke sath ban ke yahan chang aa gaya darna abas hai khar-e-mughilan se ab mujhe manzil mein ishq ke kai farsang aa gaya ji chahta hai phenk dun pahlu se main use betabiyon se dil ki to main tang aa gaya manzur shisha-e-dil-e-ashiq hai todna jo hath mein liye hue wo sang aa gaya pamal tum ne gar dil-e-ashiq nahin kiya talwon mein kyun na khun ka phir rang aa gaya kis tarah log ku-e-butan tak chale gae mere to har qadam pe wahan sang aa gaya sun kar ghazal ko meri 'jamila' ne ye kaha is mein to sufiyana bhi kuchh rang aa gaya