is zindagi se ek laDai laDa hun main

is zindagi se ek ladai lada hun main
tab ja ke is maqam pe aa kar khada hun main

meri ana se mujh ko ijazat nahin mili
aur wo samajh rahe hain ki zid par ada hun main

qad ka nahin bada pe jasarat to dekhiye
kitne bade badon ke barabar khada hun main

ab zimmadariyon ki saza jhelni pade
mera qusur ye hai ki ghar mein bada hun main

apne pidar ke hukm ki tamil na karun
hun main bada magar kahan itna bada hun main

hain aap jauhari to parakhna hai aap ko
apne har ek sher mein moti jada hun main

duniya zaruriyat ko pura bhi kar chuki
apni zaruriyat ke pichhe pada hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close