ajab afwah thi insan hai fani hai ba'd-e-maut bhi ek zindagani jahan mein aankh kya kholi ki dekha adam ab hai zamani-o-makani ye mahfil hai khirad-mandon ki mahfil yahan kis se kahun dil ki kahani achanak hath mein rasha ye kaisa abhi thi badh par meri jawani zaban-e-be-zabani kaun samjhe miyan-e-majma'-e-sho'la-bayani