ishq aaina-e-hairat ke siwa kuchh bhi nahin meri surat teri surat ke siwa kuchh bhi nahin husn kahte hain jise ishq-o-mohabbat wale jauhar-e-chashm-e-basirat ke siwa kuchh bhi nahin daulat-e-qurb ho ya neamat-e-irfan-e-jamal sirf ek ashk nadamat ke siwa kuchh bhi nahin hijr ho wasl ho ai dost adam ho ki wajud ek teri chashm-e-inayat ke siwa kuchh bhi nahin teri hasti ki nadamat ke siwa sab kuchh hai meri fitrat ki nadamat ke siwa kuchh bhi nahin husn-e-zahir ho ki ai aarzu husn-e-baatin zulf-e-idrak ki nikhat ke siwa kuchh bhi nahin