hosh nahin hai dosh ka jalwa-gah-e-namaz mein

hosh nahin hai dosh ka jalwa-gah-e-namaz mein
sar hi ka kuchh pata nahin sajda-e-be-niyaz mein

subh-e-azal bhi be-naqab jis ki nigah-e-naz mein
hae wo surat-e-jamil but-kada-e-majaz mein

ishq ki zindagi ka raaz gum hai shikast-e-saz mein
ishrat-e-ruh dhundiye shorish-e-jaan-gudaz mein

juz dil-e-ishq-e-mo'atabar aur ko is ki kya khabar
aalam-e-rang rang hai parda-e-raaz raaz mein

meri nigah-e-shauq mein wo bhi maqam hai jahan
husn ka bhi pata nahin apni harim-e-naz mein

kaise rukua kya sujud kaise qayam kya quud
meri namaz kho gai kaifiyat-e-namaz mein

ai dil-o-jaan-e-ashiqan mana ki kuchh nahin yahan
tere siwa magar hai kya dida-e-imtiyaz mein

nisbat-e-husn hai mujhe ishq se rabt hai mera
shoala-e-barq-e-naz hun wadi-e-soz-o-saz mein

'arzu' meri zist ab tishna-e-in-o-an nahin
mera guzar hai aaj-kal yar ki bazm-e-naz mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close