ishq ahd-e-bewafa mein be-nawa ho jaega aankh istanbul sina qartaba ho jaega raat lambi hai to baham guftugu karte raho baat chal nikli to bahuton ka bhala ho jaega in bhari galiyon mein phirta rah isi mein khair hai apne andar ja chhupa to lapata ho jaega sar-burida lafz mujh se raat ye kahne lage ab na bologe to kaghaz karbala ho jaega wo meri aawaz ka qatil bhi hai maqtul bhi us ka mera aaj-kal mein faisla ho jaega phir khudai ka kiya dawa kisi firaun ne phir sar-e-darbar koi moajaza ho jaega