ishq aur ishq ke aadab ka kya karna hai

ishq aur ishq ke aadab ka kya karna hai
tu nahin hai to kisi khwab ka kya karna hai

jab tera nam mere nam ke sath aaya nahin
harf ka lafz ka erab ka kya karna hai

ab samundar hai na par hain na shab-e-chaar-dahum
ab teri aankh ke mahtab ka kya karna hai

ek yahi chadar-e-hijran mujhe de kar us ne
kah ke rukhsat kiya asbab ka kya karna hai

katranen ranj ki sanson mein girah dalti hain
ab kisi resham-o-kim-khwab ka kya karna hai

aasman chashm barabar bhi na tara koi
ab bata rauzan-e-khush-tab ka kya karna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close