hawa mein nauhe ghule durd mishalon mein raha bahut ajib sa dukh tha ki bastiyon mein raha tamam ped the sahil pe aag ki zad mein mere qabile ka har fard paniyon mein raha bahut dilase diye hum ne shab-gazida ko magar wo shakhs ki din mein bhi waswason mein raha wahi tha aakhiri nuqta meri lakiron ka har ek qaus mein wo sare zawiyon mein raha ye jaante bhi ki sara safar khala ka hai bala ka hausla tute hue paron mein raha bhari bahaar hare khwab ke gulab liye tamam umr main ujdi hui ruton mein raha qarib aae to suraj bhi bujh gae 'qayyum' siyah barf ki surat lahu ragon mein raha