ishq betab-e-jaan-gudazi hai husn mushtaq-e-dil-nawazi hai ashk khunin sun jo kiya hai wazu mazhab-e-ishq mein namazi hai jo hua raaz-e-ishq sun aagah wo zamane ka fakhr-e-raazi hai pak-bazan sun yun hua mafhum ishq mazmun-e-pak-bazi hai ja ke pahunchi hai hadd-e-zulmat kun bas-ki tujh zulf mein daraazi hai tajrabe sun hua mujhe zahir naz mafhum be-niyazi hai ai 'wali' aish-e-zahiri ka sabab jalwa-e-shahid-e-majazi hai