nazar na aae to kya wo mere qayas mein hai

nazar na aae to kya wo mere qayas mein hai
wo ek jhut jo sachchai ke libas mein hai

amal se mere khayalon ka munh chidhata hai
wo ek shakhs ki pinhan mere libas mein hai

abhi jarahat-e-sar hi ilaj thahra hai
ki nabz-e-sang kisi dast-e-be-qayas mein hai

shajar se saya juda hai to dhup suraj se
safar hayat ka kis dasht-e-be-qayas mein hai

zara jo talkh ho lahja to koi baat bane
gharib-e-shahr magar qaid-e-iltimas mein hai

tujhe khabar bhi hai khud teri kam-nigahi ka
ek e'tiraf tere harf-e-na-sipas mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close