ishq chhupta nahin chhupane se

ishq chhupta nahin chhupane se
faeda kya nazar bachane se

jab qafas mein charagh jalte hain
lau nikalti hai aashiyane se

tark-e-ummid ek bahana tha
kar chuke ye bhi sau bahane se

hoshiyar ai nigah-e-waqt-nawaz
rukh badalte hue zamane se

hasil-e-zikr ho tumhi lekin
ibtida hai mere fasane se

jagna tha hamein ba-kar-e-hayat
soe hain maut ke bahane se

zikr-e-mahbub farz tha 'anjum'
kah liye sher is bahane se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close