ishq-e-but mein kufr ka mujh ko adab karna pada jo barhaman ne kaha aakhir wo sab karna pada sabr karna furqat-e-mahbub mein samjhe the sahl khul gaya apni samajh ka haal jab karna pada tajrabe ne hubb-e-duniya se sikhaya ehtiraaz pahle kahte the faqat munh se aur ab karna pada shaikh ki majlis mein bhi muflis ki kuchh pursish nahin din ki khatir se duniya ko talab karna pada kya kahun be-khud hua main kis nigah-e-mast se aql ko bhi meri hasti ka adab karna pada iqtiza fitrat ka rukta hai kahin ai ham-nashin shaikh-sahib ko bhi aakhir kar-e-shab karna pada aalam-e-hasti ko tha madd-e-nazar katman-e-raaz ek shai ko dusri shai ka sabab karna pada sher ghairon ke use mutlaq nahin aae pasand hazrat-e-'akbar' ko bil-akhir talab karna pada