gae dinon ka suragh le kar kidhar se aaya kidhar gaya wo ajib manus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo bas ek moti si chhab dikha kar bas ek mithi si dhun suna kar sitara-e-sham ban ke aaya ba-rang-e-khwab-e-sahar gaya wo khushi ki rut ho ki gham ka mausam nazar use dhundti hai har dam wo bu-e-gul tha ki naghma-e-jaan mere to dil mein utar gaya wo na ab wo yaadon ka chadhta dariya na fursaton ki udas barkha yunhi zara si kasak hai dil mein jo zakhm gahra tha bhar gaya wo kuchh ab sambhalne lagi hai jaan bhi badal chala daur-e-asman bhi jo raat bhaari thi tal gai hai jo din kada tha guzar gaya wo bas ek manzil hai bul-hawas ki hazar raste hain ahl-e-dil ke yahi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main thahar gaya wo shikasta-pa rah mein khada hun gae dinon ko bula raha hun jo qafila mera ham-safar tha misal-e-gard-e-safar gaya wo mera tu khun ho gaya hai pani sitamgaron ki palak na bhigi jo nala uttha tha raat dil se na jaane kyun be-asar gaya wo wo mai-kade ko jagane wala wo raat ki nind udane wala ye aaj kya us ke ji mein aai ki sham hote hi ghar gaya wo wo hijr ki raat ka sitara wo ham-nafas ham-sukhan hamara sada rahe us ka nam pyara suna hai kal raat mar gaya wo wo jis ke shane pe hath rakh kar safar kiya tu ne manzilon ka teri gali se na jaane kyun aaj sar jhukae guzar gaya wo wo raat ka be-nawa musafir wo tera shair wo tera 'nasir' teri gali tak to hum ne dekha tha phir na jaane kidhar gaya wo