ishq-e-dahan mein guzri hai kya kuchh na puchhiye naguftani hai haal mera kuchh na puchhiye kya dard-e-ishq ka hai maza kuchh na puchhiye kahta hai dil kisi se dawa kuchh na puchhiye mahshar ke daghdaghe ka main ahwal kya kahun hangama jo hua so hua kuchh na puchhiye jab puchhiye to puchhiye kya guzri ishq mein hum se to aur us ke siwa kuchh na puchhiye kya kya ye sabz bagh dikhati hai naza mein dam de rahi hai jo jo qaza kuchh na puchhiye puchha jo hum ne gor-e-ghariban ka ja ke haal aai ye turbaton se sada kuchh na puchhiye qismat se paiye jo kabhi us ko khush-mizaj kya kuchh na kahiye yar se kya kuchh na puchhiye ragdi hain ediyan to hui hai ye mustajab kis aajizi se ki hai dua kuchh na puchhiye chhoda jo murda jaan ke sayyaad ne mujhe kyunkar uda main ho ke riha kuchh na puchhiye tarsa kiya main daulat-e-didar ke liye qismat ne jo suluk kiya kuchh na puchhiye ulfat ka nam le ke nazar-band ho gae pai jo pyar kar ke saza kuchh na puchhiye kya sarguzisht gor-e-ghariban ki main kahun ahwal-e-bandagan-e-khuda kuchh na puchhiye khushbu ne aap ki jo sar-afraaz use kiya kis naz se chali hai saba kuchh na puchhiye puchha 'sharaf' ke marne ka un se jo waqia aankhon mein ashk bhar ke kaha kuchh na puchhiye