ishq-e-rukh-o-zulf mein kiya kuch shab aa ke raha sahar kiya kuch khayyat-e-nafas ka hai baja kuch darzi ka hai kya maqam kya kuch jab mauj-e-rawan kahin na thahri dam le ke habab kar gaya kuch har-dam hai rawa na umr-e-insan har ek nafas hai kar raha kuch parwana jala to shama boli tera hai udhar idhar mera kuch wo sozan-e-saat-e-rawan hun karti hai jo har minute sada kuch ghunghru dam-e-naza bolta hai aawaz jaras ne di hua kuch hum sath the pa-shikasta jis ke lashkar wo jahan se kar gaya kuch shab-bhar hai farogh-e-shoala ai 'shad' hangam-e-sahar hai shama ka kuch