ishq-e-sadiq jo asir-e-tama-e-KHam na tha

ishq-e-sadiq jo asir-e-tama-e-kham na tha
sai-e-nakaam ke gham se mujhe kuchh kaam na tha

tur ke lutf-e-khususi ki qasam pahle bhi
mere dil par asar-e-jalwa-gah-e-am na tha

dost ke husn-e-tawajjoh se nahin shadab tak
nigah-e-gham-zada mein kya koi paigham na tha

hasrat-e-khun-shuda har aan nai shan mein thi
rang jo subh ko dekha wo sar-e-sham na tha

dil-lagi hum se kiye jate hain kyun aish pasand
kya yahan sokhta kaamon ka koi kaam na tha

jaanta tha jise apni usi mahfil mein gaya
ja ke ghairon ki tarah muntazir-e-jam na tha

mai-gusari ke liye mil gae ham-zauq bahut
gham-gusari ke liye koi bhi ham-kaam na tha

is zamane mein bhi ilham hai 'manzur' ka sher
main kisi daur mein hasrat-kash-e-ilham na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close