subh aati hai masarrat ke payamat liye

subh aati hai masarrat ke payamat liye
zindagani ke mahakte hue naghmat liye

sham ke dosh pe lahraata hai rangin aanchal
shab ki aaghosh mein khilta hai gulistan-e-ghazal

is liye 'mir' ki 'ghaalib' ki ghazal kahte hain
shahr ko mere sabhi taj-mahal kahte hain

sochta hun nae mahaul mein kya baat hui
muddaton baad sahar aai to kyon raat hui

pyar ke shahr mein nafrat ki hawaen kyon hain
har taraf bughz-o-adawat ki sadaen kyon hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close