ishq-e-sadiq ne dikhaya ye asar aap se aap ho gai un ko mere dil ki khabar aap se aap chashm-e-jaanan ki agar yaad nahin aai hai aa gae josh pe kyon dida-e-tar aap se aap kuchh maza pad gaya hai un ko ki be-wajah-o-sabab wasl ki shab wo kiya karte hain shar aap se aap khufta-bakhti meri dikhlati hai tasir apni bajne lagta hai shab-e-wasl gajar aap se aap na moazzin ne azan di na abhi top chali dafatan bol utha murgh-e-sahar aap se aap ba-khuda un ki taraf se nahin kuchh khwahish thi jaan ka apni kiya hum ne zarar aap se aap ghair ko tum ne bithaya to nahin pahlu mein aaj uthta hai ye kyon dard-e-jigar aap se aap jazb-e-ulfat teri tasir ka tab qail hun den to wo bosa-e-lab mujh ko magar aap se aap lillah al-hamd kiya aah ne itna to asar be-talab wo chale aae mere ghar aap se aap hogi tasir jo nalon mein tumhaare 'wahbi' to chala aaega wo rashk-e-qamar aap se aap