jaan jati hai meri un ko KHabar kuchh bhi nahin

jaan jati hai meri un ko khabar kuchh bhi nahin
tujh mein o nala-e-jaan-soz asar kuchh bhi nahin

tegh-e-abru wo dikha kar yahi farmate hain
us ke aage jo na ho sina-sipar kuchh bhi nahin

haalat-e-naza mein tum aae ho kyunkar dekhun
nur aankhon mein ab ai nur-e-nazar kuchh bhi nahin

go khataen nahin hain kuchh meri par sab kuchh hain
zulm-o-jaur aap ke sab kuchh hain magar kuchh bhi nahin

tap-e-furqat ne yahan apna kiya kaam tamam
be-khabar aaj talak tujh ko khabar kuchh bhi nahin

raat-din us rukh-o-gesu ka tasawwur hai mujhe
mashghala is ke siwa sham-o-sahar kuchh bhi nahin

aarzi husn pe nazan hain abas ye mahwash
raat bhar nur ka aalam hai sahar kuchh bhi nahin

manzil-e-gor mein kya dekhiye hum par guzre
gham-e-isyan ke siwa zad-e-safar kuchh bhi nahin

kyon yam-e-ashk mein tu ne na duboya mujh ko
aabru ab teri o dida-e-tar kuchh bhi nahin

hai baja hech jo samjhe hain use sab shair
ghaur se dekhte hain to wo kamar kuchh bhi nahin

aalam-e-khwab mein kis tarah jahan ko samjhun
kyon ye sab kuchh nazar aata hai agar kuchh bhi nahin

aashiqi kar ke na phal paoge hargiz 'wahbi'
nakhl-e-ulfat mein ba-juz dagh-e-samar kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close