ishq ek hikayat hai sarfarosh duniya ki

ishq ek hikayat hai sarfarosh duniya ki
hijr ek masafat hai be-nigar sahra ki

un ke ru-ba-ru nikle nutq o lafz be-mani
baat hi ajab lekin khamushi ne paida ki

waqt ke tasalsul mein hum ba-rang-e-shoala the
umr-e-yak-nafas mein bhi raushni the duniya ki

hum ko sahal-angari gharq kar chuki hoti
himmat-afrin nikli lahar lahar dariya ki

yun to wo farokash the jada-e-rag-e-jaan mein
mawara-e-imkan thi raushni kaf-e-pa ki

sham-e-mahfil-e-yak-shab aur tul-e-fikr itna
kaun shakhs tha jis ne aarzu-e-farda ki

hum bhi hain niko-surat hum bhi nek-sirat hain
hum ne bandagi ki hai ek jamal-e-rana ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close