is daur-e-afiyat mein ye kya ho gaya hamein patta samajh ke le udi wahshi hawa hamein patthar bane hain ijz bayanon ke samne takhliq-e-fan ka khub mila hai sila hamein hum ko tulu-e-subh-e-bahaaran ki thi talash is jurm ki saza hai ye zanjir-e-pa hamein ye daur-e-tez-gam bhi hai un se be-khabar wo manzilen jo de gain apna pata hamein rah-e-talab simat ke qadam chumne lagi jab bhi koi harif-e-safar mil gaya hamein zulmat ka daur kuchh bhi sahi satr-posh tha kab raushni ne jeb-o-gareban diya hamein pas-manzar-e-bahaar se hum be-khabar na the ras aa saki na khanda-e-gul ki sada hamein hum ko to nazr-e-sail hue umr ho gai kashti mein dhundhta hai magar nakhuda hamein