ishq hai ishq-e-pak-bazi ka go ki ho aalam-e-majazi ka ishq ka tifl gir zamin upar khel sikha hai khak-bazi ka dil ko mizhgan nen le ke panje mein kaam kita hai shah-bazi ka kimiya sim-tan sin milta hai yahi hai fann sim-sazi ka fazl-e-ahmad sin sher 'yakru' ka rah hai parda-e-hijazi ka