ishq hai sarsabz virana 'hina' dil na mane dil ko samjhana 'hina' lafz ka jadu nihayat kargar harf ki khushbu judagana 'hina' kya mohabbat ka yahi dastur hai har qadam par dagmaga jaana 'hina' hosh mein rahna bhi karna ishq bhi kar-e-duniya se bhi ghabrana 'hina' ye mohabbat khushnuma pinjra koi qaid ki aadi na ho jaana 'hina' pahal karna gar juda hona pade khud ko dorahe pe mat lana 'hina' koi bhi tere siwa tera nahin apni taqat aap ban jaana 'hina' dad se khush-fahmiyan mat palna khwab se dhoka nahin khana 'hina'