khud ko pahron thakati hun main yaad ke but banati hun main dhyan hatta nahin hai mera dhyan tujh se hatati hun main kaun tere siwa hai mera tujh ko apna banati hun main jab mujhe yaad aata hai wo do-jahan bhul jati hun main khwab hai teri chahat mujhe khwab khud ko dikhati hun main jal raha hai diye se diya bantti hun to pati hun main aaj nau sal pure hue apni wahshat manati hun main wah wa ki zarurat nahin zakhm likh kar dikhati hun main