ishq hai us zulf ka sartaj aaj hai rasul-e-husn ki mearaj aaj nok-e-mizhgan par nahin hai lakht-e-dil dar par khincha gaya hallaj aaj tark chashm-e-yar ke tewar hain aur khirman-e-taqat ka hai taraj aaj tegh-e-abru kal padi dil par mere tir mizhgan ka hua aamaj aaj chuse hain us ke misi aaluda-lab main ne nilam ka kiya pokhraj aaj wasl ki marzi thi kal us shokh ki phir gaya wo waqt-e-istimzaj aaj likkha hai jo wasf abru ka 'waqar' sher-sheari se na le kyun baj aaj