husn-e-surat mein garche bud nahin

husn-e-surat mein garche bud nahin
par kahan ishq ki numud nahin

nisti jalwa-gar hai hasti mein
kuchh adam ka mere wajud nahin

hum ne awwal se dekha aakhir tak
zat haq ki nabud-o-bud nahin

tere husn-e-malih ke qurban
kis ke wird-e-zaban durud nahin

mere saqi ke pesh saghar-e-chashm
shishe ko kab sar-e-sujud nahin

dagh-e-sozan hai jism mein wo uzw
sang-e-afat se jo kabud nahin

bagh hai dagh gar na ho lala
bazm wo kya hai jis mein ud nahin

bas-ki hai kund nakhun-e-mizhgan
uqda-e-ashk ki kushud nahin

hum jo kahte the tum se roz 'waqar'
juz zarar aashiqi mein sud nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close