ishq har-chand meri jaan sada khata hai par ye lazzat to wo hai ji hi jise pata hai aah kab tak main bakun teri bala sunti hai baaten logon ki jo kuchh dil mujhe sunwata hai ham-nashin puchh na us shokh ki khubi mujh se kya kahun tujh se gharaz ji ko mere bhata hai baat kuchh dil ki hamare to na suljhi hum se aapi khush howe hai phir aap hi ghabraata hai ji kada kar ke tere kuche se jab jata hun dil-e-dushman ye mujhe gher ke phir lata hai rah pende kabhu us shokh ke tain hum se bhi did wa did to hoti hai jo mil jata hai 'dard' ki qadr mere yar samajhna wallah aisa aazad tere dam mein yun aata hai