hum ne kis raat nala sar na kiya par use aah kuchh asar na kiya sab ke han tum hue karam-farma is taraf ko kabhu guzar na kiya kyun bhawen tante ho banda-nawaz sina kis waqt main sipar na kiya kitne bandon ko jaan se khoya kuchh khuda ka bhi tu ne dar na kiya dekhne ko rahe taraste hum na kiya rahm tu ne par na kiya aap se hum guzar gae kab ke kya hai zahir mein go safar na kiya kaun sa dil hai wo ki jis mein aah khana-abaad tu ne ghar na kiya tujh se zalim ke samne aaya jaan ka main ne kuchh khatar na kiya sab ke jauhar nazar mein aae 'dard' be-hunar tu ne kuchh hunar na kiya