ishq hi tanha nahin shorida-sar mere liye husn bhi betab hai aur kis qadar mere liye han mubarak ab hai mearaj-e-nazar mere liye jis qadar wo dur-tar nazdik-tar mere liye khel hai bazicha-e-sham-o-sahar mere liye do gul-e-bazi hain ye shams o qamar mere liye waqf hai sayyaad ki ek ek nazar mere liye han mubarak ye shikast-e-baal-o-par mere liye garm hai hangama-e-sham-o-sahar mere liye raat din gardish mein hain shams o qamar mere liye main hun wahshi aah kis sahra-e-afat-khez ka hai gul-e-virana bhi begana-tar mere liye us maqam-e-ishq mein hun marhaba ai be-khudi zarra zarra hai jahan garm-e-safar mere liye jazb ho kar rah gaya hun main jamal-e-dost mein ishq hai tabinda-tar painda-tar mere liye main nahin kahta ki main hun tu ho teri khalwaten han magar sab se juda khas ek nazar mere liye allah allah main bhi kya nazuk-dimagh-e-ishq hun nikhat-e-gul bhi hai wajh-e-dard-e-sar mere liye phir bhi aankhen dhundhti hain ek sarapa naz ko main ne mana kuchh nahin hadd-e-nazar mere liye rahraw-e-rah-e-talab ko khizr ki hajat nahin zarra zarra hai charagh-e-rah-guzar mere liye apne dil mein juz tere main bhi sama sakta nahin mera har har sans hai zanjir-e-dar mere liye mujh ko jannat hi jo duniya hai to ya-rab bakhsh de bas yahi daman-e-tar chashman-e-tar mere liye tark-e-mai se aur bhi main to sharabi ban gaya roz aa jata hai mina-e-sahar mere liye jis ne zahid se bhi kafir ke uda dale hain hosh us se bhi kuchh aur saqi tez-tar mere liye wo mera saghar-ba-kaf hona pashemani ke sath abr-e-rahmat ka wo uthna jhum kar mere liye kal shab-e-mahtab mein ek bulbul-e-afat-nawa markaz-e-gham ban raha tha raat bhar mere liye na-gahan lab-ha-e-barg-e-gul se ye aai nida nale karta hai abas ai be-khabar mere liye main bhi hun apni jagah khunin-jigar khunin-kafan tu na apni jaan kho ai musht-e-par mere liye bas ye sunna tha ki pa-e-gul pe gir kar mar mita ban gaya ek naqsh-e-ibrat umr bhar mere liye zindagi ek tohmat-e-beja hai meri zat par maut ek ilzam-e-na-jaez 'jigar' mere liye main to har haalat mein khush hun lekin us ka kya ilaj dabdaba aati hain wo aankhen 'jigar' mere liye