ishq miyan is aag mein mera zahir hi chamka dena mere badan ki mitti ko zara kundan-rang bana dena aao tumhaari nazr karen hum ek charagh hikayat ka jab tak jago raushan rakhna nind aae to bujha dena bis ikkis baras pichhe hamein kab tak milte rahna hai dekho, ab ki bar milo to dil ki baat bata dena sine ke virane mein ye khushbu ek karamat hai warna itna sahal nahin tha rakh mein phul khila dena dil ki zamin tak raushniyan thin, chehre the, hariyali thi ab to jahan bhi sahil pana kashti ko thahra dena maula, phir mere sahra se bin barse baadal laut gae khair, shikayat koi nahin hai agle baras barsa dena khwaja khizr suno hum kab se is basti mein bhatakte hain tum ko agar taklif na ho to jangal tak pahuncha dena