ishq jab manzil-e-akhir se guzarta hoga ek bhi ashk na aankhon se tapakta hoga hum to jab jaanen ki jab waqt hamara badle log kahte hain badalta hai badalta hoga hoga ai dost yaqinan wo mere dil ki tarah jo diya rukh pe hawaon ke bhi jalta hoga aaj thahraya hai khud jis ne mujhe qabil-e-dar kal wahi meri wafaon ko tarasta hoga saghar-e-chashm mein mai-kash use bharte honge rang jab aap ke chehre se chhalakta hoga jo nazar uthti hai ban jati hai ek mauj-e-khumar dast-e-saqi mein koi jam chhalakta hoga haal 'akhgar' ke tadapne ka suna jab to kaha us ki fitrat hi tadapna hai tadapta hoga