is tarah mah-rukhon ko pasheman karenge hum ab dagh dagh dil ka numayan karenge hum aaina ban ke jaenge bazm-e-jamal mein mahfil ke ru-ba-ru unhen hairan karenge hum aae to wo bahaar-e-dil-o-jaan nigah mein ek ek nafas ko rashk-e-gulistan karenge hum us but ko apne dil mein basane se peshtar paimaish-e-hararat-e-iman karenge hum mil jae un ka naqsh-e-kaf-e-pa agar kahin ek ek lakir juzw-e-rag-e-jaan karenge hum ehsan-e-wasl-e-yar bhi manzur hai magar aazar-e-hijr-e-yar ke arman karenge hum 'akhgar' kisi ki yaad mein lazim hai ek jashn khun-e-jigar se khatir-e-mizgan karenge hum