ishq ka khel ba-har-haal gawara hota

ishq ka khel ba-har-haal gawara hota
tum na hote to koi aur hamara hota

khub chamka tha sar-e-arsh magar dub gaya
kash suraj ko bhi tinke ka sahaara hota

pal hi rakkhi thi jab daulat-e-duniya ki hawas
kaise phir sabr-o-qanaat pe guzara hota

us ko main hijr ka unwan bana kar padhta
nama-e-ishq mein halka sa ishaara hota

kaise aadam yahan iblis bhi sajde karta
naeb-allah ka gar jag mein ijara hota

tang-daman hi sahi dil to kushada rakhta
bahta dariya na sahi kash kinara hota

is bahane se main kuchh khwab sunahre karta
kam se kam shahr mein tum sa koi pyara hota

phir yahan sab hi mere chahne wale nikle
is bhare shahr mein koi to hamara hota

ek ek kar ke sabhi chhod chale maqtal ko
aise haalat mein qatil ko pukara hota

bah gae hum bhi bila-wajh ana ki rau mein
aur kuchh din tere kuche mein guzara hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close