sher jab khulta hai khulte hain maani kya kya raste dete hain ek misra-e-sani kya kya khatm hoti hai samundar pe kabhi sahra mein raste chunti hai dariya ki rawani kya kya pahle kirdar guzarta hai nazar se koi mod leti hai phir aankhon mein kahani kya kya ashk aankhon mein kasak dil mein nazar mein ummid ishq deta hai mohabbat mein nishani kya kya jaan leta hai kabhi jaan bacha leta hai fitraten rakhta hai dariyaon ka pani kya kya us ki aankhon ki shararat kabhi honton ka jamal samne aati hain taswiren purani kya kya